mohabbaten jab shumar karna to sazishen bhi shumar karna
mohabbateñ jab shumār karnā to sāzisheñ bhī shumār karnā
jo mere hisse meñ aa.ī haiñ vo aziyyateñ bhī shumār karnā
jalā.e rakkhūñgī sub.h tak maiñ tumhāre rastoñ meñ apnī āñkheñ
magar kahīñ zabt TuuT jaa.e to bārisheñ bhī shumār karnā
jo harf lauh-e-vafā pe likkhe hue haiñ un ko bhī dekh lenā
jo rā.egāñ ho ga.iiñ vo saarī ibārateñ bhī shumār karnā
ye sardiyoñ kā udaas mausam ki dhaḌkaneñ barf ho ga.ī haiñ
jab un kī yaḳh-bastagī parakhnā tamāzateñ bhī shumār karnā
tum apnī majbūriyoñ ke qisse zarūr likhnā vazāhatoñ se
jo merī āñkhoñ meñ jal-bujhī haiñ vo ḳhvāhisheñ bhī shumār karnā
mohabbaten jab shumar karna to sazishen bhi shumar karna
jo mere hisse mein aai hain wo aziyyaten bhi shumar karna
jalae rakkhungi subh tak main tumhaare raston mein apni aankhen
magar kahin zabt TuT jae to barishen bhi shumar karna
jo harf lauh-e-wafa pe likkhe hue hain un ko bhi dekh lena
jo raegan ho gain wo sari ibaraten bhi shumar karna
ye sardiyon ka udas mausam ki dhaDkanen barf ho gai hain
jab un ki yaKH-bastagi parakhna tamazaten bhi shumar karna
tum apni majburiyon ke qisse zarur likhna wazahaton se
jo meri aankhon mein jal-bujhi hain wo KHwahishen bhi shumar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.