Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

miTTi ki imarat saya de kar miTTi mein hamwar hui

Mahshar Badayuni

miTTi ki imarat saya de kar miTTi mein hamwar hui

Mahshar Badayuni

MORE BYMahshar Badayuni

    miTTī imārat saaya de kar miTTī meñ hamvār huī

    vīrānī se ab kaam hai aur vīrānī kis yaar huī

    har pattī bojhal ho ke girī sab shāḳheñ jhuk kar TuuT ga.iiñ

    us bārish se fasl ujḌī jis bārish se tayyār huī

    Dar Dar ke qadam yuuñ rakhtā huuñ ḳhvāboñ ke sahrā meñ jaise

    ye reg abhī zanjīr banī ye chhāñv abhī dīvār huī

    chhūtī hai zarā jab tan ko havā chubhte haiñ ragoñ meñ kāñTe se

    sau baar ḳhizāñ aa.ī hogī mahsūs magar is baar huī

    ab ye bhī nahīñ hai bas meñ ki ham phūloñ Dagar par lauT chaleñ

    jis rāhguzar par chalnā hai vo rāhguzar talvār huī

    ik ġhuncha sahar ke arse meñ aisā bhī thā jo kah guzrā

    is arz-e-ḳhush-guftārāñ par taḳhlīq-e-jars be-kār huī

    ham saath chale the sūraj ke so is ye ḳhamyāza hai

    sūraj to nikal kar duur gayā ab apnī shaam ġhubār huī

    vo naale haiñ be-tābī ke chīḳh uThtā hai sannāTā bhī

    ye dard shab mālūm nahīñ kab tak ke liye bedār huī

    ab tez havā kitnī chale ab garm fazā kitnī rahe

    siine zaḳhm charāġh banā dāman aag bahār huī

    miTTi ki imarat saya de kar miTTi mein hamwar hui

    virani se ab kaam hai aur virani kis ki yar hui

    har patti bojhal ho ke giri sab shaKHen jhuk kar TuT gain

    us barish hi se fasl ujDi jis barish se tayyar hui

    Dar Dar ke qadam yun rakhta hun KHwabon ke sahra mein jaise

    ye reg abhi zanjir bani ye chhanw abhi diwar hui

    chhuti hai zara jab tan ko hawa chubhte hain ragon mein kanTe se

    sau bar KHizan aai hogi mahsus magar is bar hui

    ab ye bhi nahin hai bas mein ki hum phulon ki Dagar par lauT chalen

    jis rahguzar par chalna hai wo rahguzar talwar hui

    ek ghuncha sahar ke arse mein aisa bhi tha jo kah guzra

    is arz-e-KHush-guftaran par taKHliq-e-jars be-kar hui

    hum sath chale the suraj ke so is ka ye KHamyaza hai

    suraj to nikal kar dur gaya ab apni sham ghubar hui

    wo nale hain be-tabi ke chiKH uThta hai sannaTa bhi

    ye dard ki shab malum nahin kab tak ke liye bedar hui

    ab tez hawa kitni hi chale ab garm faza kitni hi rahe

    sine ka zaKHm charagh bana daman ki aag bahaar hui

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mahshar Badayuni

    Mahshar Badayuni

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now