mere andar jo lahrane lagi hai
mire andar jo lahrāne lagī hai
mujhī ko mujh se uljhāne lagī hai
na tū poras na shāyad maiñ sikandar
laḌā.ī par bhī laḌ jaane lagī hai
kisī girte hue patte se pūchho
daraḳhtoñ ko havā khāne lagī hai
savā neze pe sūraj aa gayā hai
nadī meñ baaḌh sī aane lagī hai
vo jis ko zehn se jhaTkā diyā thā
vo ḳhvāhish dil meñ ghar paane lagī hai
lakīreñ pīTne vāloñ ko 'ḳhālid'
lakīroñ par hañsī aane lagī hai
mere andar jo lahrane lagi hai
mujhi ko mujh se uljhane lagi hai
na tu poras na shayad main sikandar
laDai par bhi laD jaane lagi hai
kisi girte hue patte se puchho
daraKHton ko hawa khane lagi hai
sawa neze pe suraj aa gaya hai
nadi mein baDh si aane lagi hai
wo jis ko zehn se jhaTka diya tha
wo KHwahish dil mein ghar pane lagi hai
lakiren piTne walon ko 'KHalid'
lakiron par hansi aane lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.