mere ashaar tamawwuj pe jo aae hue hain
mere ash.ār tamavvuj pe jo aa.e hue haiñ
aab hairat se ye mazmūn uThā.e hue haiñ
shoḳhiyāñ kaam na aa.iiñ to hayā dhar legī
us ne āñkhoñ ko ka.ī daav sikhā.e hue haiñ
kuchh sitāre mirī palkoñ pe chamakte haiñ abhī
kuchh sitāre mire siine meñ samā.e hue haiñ
ab vo insān kahāñ jin se farishte sharmā.eñ
ham to insān kā bas bhes banā.e hue haiñ
ġhair ko jam.a karo dushman-e-jāñ ko bulvāo
dosto ham kisī apne ke satā.e hue haiñ
mere ashaar tamawwuj pe jo aae hue hain
aab hairat se ye mazmun uThae hue hain
shoKHiyan kaam na aain to haya dhar legi
us ne aankhon ko kai daw sikhae hue hain
kuchh sitare meri palkon pe chamakte hain abhi
kuchh sitare mere sine mein samae hue hain
ab wo insan kahan jin se farishte sharmaen
hum to insan ka bas bhes banae hue hain
ghair ko jama karo dushman-e-jaan ko bulwao
dosto hum kisi apne ke satae hue hain
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 46)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.