mehr o mahtab ko mere hi nishan jaanti hai
mehr o mahtāb ko mere hī nishāñ jāntī hai
maiñ kahāñ huuñ vo marī sarv-e-ravāñ jāntī hai
tum se ho kar hī to aa.ī hai lahū tak mere
tum ko ye surḳhī-e-jāñ shola-ruḳhāñ jāntī hai
kaun apnā hai samajhtī hai ḳhamoshī shab kī
ajnabī kaun hai āvāz-e-sagāñ jāntī hai
dil ko ma.alūm hai kyā baat batānī hai use
us se kyā baat chhupānī hai zabāñ jāntī hai
ḳhaak ko chhoḌ ke jaanā hameñ manzūr nahīñ
ham ḳhas-o-ḳhār nahīñ jū-e-tapāñ jāntī hai
tū kabhī ḳhvāhish-e-duniyā nahīñ karne vaalā
mere abdāl tujhe dānish-e-jāñ jāntī hai
mere paas aa ke bhī rahtī hai gurezāñ mujh se
maiñ na Dūbūñgā mirī mauj-e-gumāñ jāntī hai
is tarah ghūrtī rahtī hai shab-o-roz mujhe
jaise duniyā mire sab rāz-e-nihāñ jāntī hai
mehr o mahtab ko mere hi nishan jaanti hai
main kahan hun wo mari sarw-e-rawan jaanti hai
tum se ho kar hi to aai hai lahu tak mere
tum ko ye surKHi-e-jaan shola-ruKHan jaanti hai
kaun apna hai samajhti hai KHamoshi shab ki
ajnabi kaun hai aawaz-e-sagan jaanti hai
dil ko malum hai kya baat batani hai use
us se kya baat chhupani hai zaban jaanti hai
KHak ko chhoD ke jaana hamein manzur nahin
hum KHas-o-KHar nahin ju-e-tapan jaanti hai
tu kabhi KHwahish-e-duniya nahin karne wala
mere abdal tujhe danish-e-jaan jaanti hai
mere pas aa ke bhi rahti hai gurezan mujh se
main na Dubunga meri mauj-e-guman jaanti hai
is tarah ghurti rahti hai shab-o-roz mujhe
jaise duniya mere sab raaz-e-nihan jaanti hai
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 37)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.