manzaron ke darmiyan manzar banana chahiye
manzaroñ ke darmiyāñ manzar banānā chāhiye
rahnavard-e-shauq ko rasta dikhānā chāhiye
apne saare rāste andar kī jānib moḌ kar
manziloñ kā ik nishāñ bāhar banānā chāhiye
sochnā ye hai ki us kī justujū hone talak
saath apne ḳhud raheñ ham yā zamānā chāhiye
terī merī dāstāñ itnī zarūrī to nahīñ
duniyā ko kahne kī ḳhātir bas fasānā chāhiye
phuul kī pattī pe likkhūñ nazm jaisī ik duā
haath uThāne ke liye mujh ko bahānā chāhiye
vasl kī koī nishānī hijr ke bāham rahe
ab ke saada haath par mehñdī lagānā chāhiye
phuul ḳhushbū rañg jugnū raushnī ke vāste
ghar kī dīvāroñ meñ ik rauzan banānā chāhiye
shaam ko vāpas palaTte tā.eroñ ko dekh kar
sochtī huuñ lauT kar ab ghar bhī jaanā chāhiye
manzaron ke darmiyan manzar banana chahiye
rahnaward-e-shauq ko rasta dikhana chahiye
apne sare raste andar ki jaanib moD kar
manzilon ka ek nishan bahar banana chahiye
sochna ye hai ki us ki justuju hone talak
sath apne KHud rahen hum ya zamana chahiye
teri meri dastan itni zaruri to nahin
duniya ko kahne ki KHatir bas fasana chahiye
phul ki patti pe likkhun nazm jaisi ek dua
hath uThane ke liye mujh ko bahana chahiye
wasl ki koi nishani hijr ke baham rahe
ab ke sada hath par mehndi lagana chahiye
phul KHushbu rang jugnu raushni ke waste
ghar ki diwaron mein ek rauzan banana chahiye
sham ko wapas palaTte taeron ko dekh kar
sochti hun lauT kar ab ghar bhi jaana chahiye
- Book : Tasteer (Pg. 297)
- Edition : Issue No. 9,10 July/August. 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.