main munharif tha jis se harf-e-inhiraf ki tarah
maiñ munharif thā jis se harf-e-inhirāf kī tarah
khulā vo dhīre dhīre bu-e-inkishāf kī tarah
ye be-samar zamīñ ye rā.egāñ falak ke silsile
haiñ mere gird kyuuñ hisar-e-etakāf kī tarah
vo sardiyoñ kī dhuup kī tarah ġhurūb ho gayā
lipaT rahī hai yaad jism se lihāf kī tarah
ye lag rahā hai sab duā.eñ mustajāb ho ga.iiñ
jagah jagah hai gahrā āsmāñ shigāf kī tarah
saf-e-munāfiqāñ meñ phir vo jā milā to kyā ajab
huī thī sulh bhī ḳhamosh iḳhtilāf kī tarah
main munharif tha jis se harf-e-inhiraf ki tarah
khula wo dhire dhire bu-e-inkishaf ki tarah
ye be-samar zamin ye raegan falak ke silsile
hain mere gird kyun hisar-e-etakaf ki tarah
wo sardiyon ki dhup ki tarah ghurub ho gaya
lipaT rahi hai yaad jism se lihaf ki tarah
ye lag raha hai sab duaen mustajab ho gain
jagah jagah hai gahra aasman shigaf ki tarah
saf-e-munafiqan mein phir wo ja mila to kya ajab
hui thi sulh bhi KHamosh iKHtilaf ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.