Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main ek sham jo lauTa ghubar-e-jaan ban kar

Manmohan Talkh

main ek sham jo lauTa ghubar-e-jaan ban kar

Manmohan Talkh

MORE BYManmohan Talkh

    maiñ ek shaam jo lauTā ġhubār-e-jāñ ban kar

    bikhar ke rah gayā rāhoñ dāstāñ ban kar

    maiñ ḳhud meñ gūñjtā huuñ ban ke terā sannāTā

    mujhe na dekh mirī tarah be-zabāñ ban kar

    maiñ apne aap vo shor thā tujhe kar

    tujhe Darā diyā āvāz-e-be-amāñ ban kar

    har ek shaḳhs hai afvāh aap apnī

    har ik ko jāntā hai har koī gumāñ ban kar

    tamām samteñ palaTtī jaan paḌtī haiñ

    pahuñch rahā huuñ kahāñ dard-e-lā-makāñ ban kar

    ye kis ko DhūñD rahā huuñ maiñ ek arse se

    ḳhud apnā koī bhaTkā huā nishāñ ban kar

    jo ḳhud the apnī sadā yaqīñ vahī to haiñ ham

    pahāḌ jaise koī uḌ gayā dhuāñ ban kar

    kar ke radd mujhe ḳhud ko zarā qubūl to kar

    khaḌā huuñ tere liye ek imtihāñ ban kar

    ḳhud apnī baat dukh ban ke rah na ai 'talḳh'

    har ek dil meñ samā ġham-e-jahāñ ban kar

    main ek sham jo lauTa ghubar-e-jaan ban kar

    bikhar ke rah gaya rahon ki dastan ban kar

    main KHud mein gunjta hun ban ke tera sannaTa

    mujhe na dekh meri tarah be-zaban ban kar

    main apne aap ka wo shor tha tujhe pa kar

    tujhe Dara diya aawaz-e-be-aman ban kar

    har ek shaKHs hai afwah aap hi apni

    har ek ko jaanta hai har koi guman ban kar

    tamam samten palaTti si jaan paDti hain

    pahunch raha hun kahan dard-e-la-makan ban kar

    ye kis ko DhunD raha hun main ek arse se

    KHud apna hi koi bhaTka hua nishan ban kar

    jo KHud the apni sada ka yaqin wahi to hain hum

    pahaD jaise koi uD gaya dhuan ban kar

    tu kar ke radd mujhe KHud ko zara qubul to kar

    khaDa hun tere liye ek imtihan ban kar

    KHud apni baat ka dukh ban ke rah na ja ai 'talKH'

    har ek dil mein sama ja gham-e-jahan ban kar

    Source :
    • Book : Waseela (Pg. 88)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now