main aa raha tha sitaron pe panw dharte hue
maiñ aa rahā thā sitāroñ pe paañv dharte hue
badan utaar diyā ḳhaak se guzarte hue
jamāl mujh pe ye ik din meñ to nahīñ aayā
hazār aa.ine TuuTe mire sañvarte hue
'ajab nazar se charāġhoñ kī samt dekhā hai
havā ne zīna-e-pindār se utarte hue
ik-ādh jaam to pī hī liyā thā ham ne bhī
ḳhumār-e-ḳhāna-e-duniyā kī sair karte hue
na jaane kyā dil-e-sayyād meñ ḳhayāl aayā
vo ro diyā thā mire bāl-o-par katarte hue
ab āsmān bhī kam paḌ rahe haiñ us ke liye
qadam zamīn pe rakkhā thā jis ne Darte hue
vahī sitāra sitāroñ kā hukmarāñ Thahrā
laraz rahā thā jo pahlī zaqand bharte hue
vo aa.ina thā maiñ tāriq-'na.īm' TuuT ke bhī
hazār aks banātā gayā bikharte hue
main aa raha tha sitaron pe panw dharte hue
badan utar diya KHak se guzarte hue
jamal mujh pe ye ek din mein to nahin aaya
hazar aaine TuTe mere sanwarte hue
'ajab nazar se charaghon ki samt dekha hai
hawa ne zina-e-pindar se utarte hue
ik-adh jam to pi hi liya tha hum ne bhi
KHumar-e-KHana-e-duniya ki sair karte hue
na jaane kya dil-e-sayyaad mein KHayal aaya
wo ro diya tha mere baal-o-par katarte hue
ab aasman bhi kam paD rahe hain us ke liye
qadam zamin pe rakkha tha jis ne Darte hue
wahi sitara sitaron ka hukmaran Thahra
laraz raha tha jo pahli zaqand bharte hue
wo aaina tha main tariq-'naim' TuT ke bhi
hazar aks banata gaya bikharte hue
- Book : ruki huii shamon kii raahdaariyaz (Pg. 19)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.