lazzat-e-KHwab de gae husn-e-KHayal de gae
lazzat-e-ḳhvāb de ga.e husn-e-ḳhayāl de ga.e
ek jhalak meñ itnā kuchh ahl-e-jamāl de ga.e
aa.e to dil thā baaġh baaġh aur ga.e to daaġh daaġh
kitnī ḳhushī vo laa.e the kitnā malāl de ga.e
dīda-varoñ kī raah par kaun huā hai gāmzan
vo magar apnī zaat se ek misāl de ga.e
is se ziyāda rāhzan karte bhī mujh pe kyā sitam
māl-o-manāl le ga.e fikr-e-ma.āl de ga.e
ahl-e-kamāl ko 'nazīr' ahl-e-jahāñ ne kyā diyā
ahl-e-jahāñ ko kyā nahīñ ahl-e-kamāl de ga.e
lazzat-e-KHwab de gae husn-e-KHayal de gae
ek jhalak mein itna kuchh ahl-e-jamal de gae
aae to dil tha bagh bagh aur gae to dagh dagh
kitni KHushi wo lae the kitna malal de gae
dida-waron ki rah par kaun hua hai gamzan
wo magar apni zat se ek misal de gae
is se ziyaada rahzan karte bhi mujh pe kya sitam
mal-o-manal le gae fikr-e-maal de gae
ahl-e-kamal ko 'nazir' ahl-e-jahan ne kya diya
ahl-e-jahan ko kya nahin ahl-e-kamal de gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.