lab-e-furaat kahan hum qiyam karte hain
lab-e-furāt kahāñ ham qiyām karte haiñ
ki ham to tishna-labī ko salām karte haiñ
chaḌhā.eñ kis liye patthar pe phuul kī chādar
burīda lāshoñ kā jo ehtirām karte haiñ
vahī asiir hilāte haiñ kaj-kulāhī ko
ki har nafas ko jo zindān-e-shām karte haiñ
vo aa rahā hai agar āñdhiyāñ jilau meñ liye
diyoñ kā ham bhī chalo ehtimām karte haiñ
vahīñ pe jhaaḌ ke uThte haiñ phir matā’-e-hayāt
ki zindagī ko jahāñ jis ke naam karte haiñ
surūr aur hī hotā hai ḳhud-kalāmī kā
ham apne aap se aksar kalām karte haiñ
lab-e-furaat kahan hum qiyam karte hain
ki hum to tishna-labi ko salam karte hain
chaDhaen kis liye patthar pe phul ki chadar
burida lashon ka jo ehtiram karte hain
wahi asir hilate hain kaj-kulahi ko
ki har nafas ko jo zindan-e-sham karte hain
wo aa raha hai agar aandhiyan jilau mein liye
diyon ka hum bhi chalo ehtimam karte hain
wahin pe jhaD ke uThte hain phir mata’-e-hayat
ki zindagi ko jahan jis ke nam karte hain
surur aur hi hota hai KHud-kalami ka
hum apne aap se aksar kalam karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.