kyunkar na KHush ho sar mera laTakka ke dar mein
kyunkar na KHush ho sar mera laTakka ke dar mein
Goya Faqir Mohammad
MORE BYGoya Faqir Mohammad
kyūñkar na ḳhush ho sar mirā laTakkā ke daar meñ
kyā phal lagā hai naḳhl-e-tamannā-e-yār meñ
chāhā bahut valī na muā hijr-e-yār meñ
mahbūb kyā ajal bhī nahīñ iḳhtiyār meñ
mūbāf surḳh kyuuñ na ho gesū-e-yār meñ
shab-ḳhūn yā'nī laate haiñ shub.hā-e-tār meñ
mūbāf hai kināre kā zulf-e-nigār meñ
yā barf kaundtī hai ye abr-e-bahār meñ
rāhat ke saath ranj bhī hai rozgār meñ
hañsne pe gul ke rotī hai shabnam bahār meñ
pinhāñ huā hai ḳhāl-e-ḳhat-e-mushk-bār meñ
miltā nahīñ hai DhūñDhe se naafā tatār meñ
mar jā.ūñgā ḳhayāl-e-ruḳh-o-zulf yaar meñ
aa jā.egī ajal isī lail-o-nahār meñ
lipTī hai choTī yaar kī phūloñ ke haar meñ
sumbul ne gul khilā.e haiñ fasl-e-bahār meñ
aa.uuñ na aap meñ jo vo aa.e kanār meñ
rakkhūñ maiñ apnī tarah use intizār meñ
sabza tak apnī qabar kā ḳhvābīda ho gayā
par ham ko niiñd aa.ī na ik dam mazār meñ
o barq-e-tūr tā-ba-kujā lan-tarāniyāñ
pathrā ga.iiñ haiñ āñkheñ mire intizār meñ
jaa.eñ kab āshnā tirī dariyā kī sair ko
ashk-e-ravāñ se rakhtī haiñ dariyā kanār meñ
ye kis ne aa ke qabar pe bechain kar diyā
kyā so rahī thī chain se kunj-e-mazār meñ
aayā hai ḳhvāb bhī shab-e-vā'da agar hameñ
āñkheñ khulī rahī haiñ tire intizār meñ
ḳhāk-e-chaman se kyā hai mirā kālbud banā
dāġhoñ se gul jo khilte haiñ fasl-e-bahār meñ
baa'd az fanā bhī husn-parastī se kaam hai
aa.ina saañ safā.ī hai sañg-e-mazār meñ
aañsū bahā.ūñ āñkhoñ se us ko lagā ke maiñ
motī piroūñ yaar kī phūloñ ke haar meñ
kyuuñ muñh se boltā nahīñ niklā hai ab to ḳhat
darvāza band baaġh kā mat kar bahār meñ
rote haiñ yaad gauhar-e-dandān meñ un din
motī bhare haiñ misl-e-sadaf yaañ kanār meñ
kahiye vo lā'l-e-lab ḳhat-e-mushkīñ meñ dekh kar
paidā huā hai lāl-e-badaḳhshāñ tatār meñ
farhād kī ye āñkheñ haiñ shīrīñ ko DhūñDhte
ab dil ġhazāl phirtī nahīñ kohsār meñ
muuzī hai charḳh is se nahīñ kaj-ravī ba'īd
sach yuuñ hai rāstī nahīñ raftār meñ
tujh bin nahīñ ye jalva-numā shab ko māhtāb
chashm-e-falak safed hue intizār meñ
to sun ke saath dauḌūñ jo maiñ man' bhī karūñ
zālim anān-e-sabr nahīñ iḳhtiyār meñ
phūloñ kā haar ban gayā hai motiyoñ kā haar
aisā ḳhushī se phuul gayā dast-e-yār meñ
nafrat ye in guloñ ko hai marne ke baa'd bhī
hotā nahīñ hai gul mire sham'-e-mazār meñ
gesū ko us kī kuchh nahīñ parvā-e-naqd-e-dil
ye maal vo hai jo hai sab chashm-e-yār meñ
detī hai nā-tavānī agar ruḳhsat-e-chaman
phañstā huuñ dām-e-mauj-e-nasīm-e-bahār meñ
kartā hai koī turk-dilā neza-bāziyāñ
dumbāla surme kā ye nahīñ chashm-e-yār meñ
pīsegā ustuḳhvāñ asar-e-iztirāb-e-dil
'ālam ab āsiyā kā hai sañg-e-mazār meñ
bāġh-e-jahāñ meñ 'aish ke fursat bahut hai kam
labrez jām-e-umr hai gul kā bahār meñ
kis māh-vash se raat ham-āġhosh ham hue
'ālam hilāl kā hai hamāre kanār meñ
masl-e-hinā hai ġhair kī hāthoñ mire bahār
sarsabz agarche hoñ chaman-e-rozgār meñ
aatā hai jab vo tan meñ mire jaan aatī hai
jaane meñ misl-e-umr nahīñ iḳhtiyār meñ
allāh re safā.ī-e-ruḳh-e-yār dekhnā
hairān hai aa.ina kaf-e-ā.ina-dār meñ
apne gale ke haar ke gar vo chaḌhā.e phuul
phūlā na phir samā.ūñ maiñ kunj-e-mazār meñ
gar peshvā-e-ḳhalq hai zāhid to kyā huā
tasbīh kā imaam nahīñ hai shumār meñ
mazmūn tirī kamar kā hai kyā aaj banda gayā
'anqā phañsā hai un kī dām-e-shikār meñ
jhaḌtī haiñ muñh se phuul jo kartā hai baat tū
tujh sā nahīñ hai gul chaman-e-rozgār meñ
qāsid to saaf kah dī mukaddar hai mujh se kyā
likkhā jo naama yaar ne ḳhatt-e-ġhubār meñ
talvār le jo haath meñ ban jaa.e shāḳh-e-gul
sausan kā phuul hue sipar dast-e-yār meñ
ye kis ne aa ke qabr ko rauñdā hai paaoñ se
aatī hai bū-e-gul mirī ḳhāk-e-mazār meñ
baa'd az fanā bhī ḳhvāhish-e-dīdār-e-yār hai
rauzan koī zarūr hai mere mazār meñ
jab raat hotī hai to sitāre nikalte haiñ
afshāñ zarūr chāhiye the zulf-e-yār meñ
kis ko ye hosh hai jo kare chaak jeb ko
bāhar hoñ apne jaame se fasl-e-bahār meñ
farmā.ish apnī dekhne vāloñ pe kartī haiñ
āñkhoñ ke Dore hoñ mire phūloñ ke haar meñ
paañv se apne aa.egī sahrā meñ bhī bahār
chhāle hamāre phuul piro.eñge ḳhaar meñ
vājib hai āb-e-teġh se kar lījiye vuzū
sajda jo kījiye ḳham-e-abrū-e-yār meñ
dariyā meñ us kī tīr-e-mizha kā paḌe jo 'aks
surāḳh ho har ik guhar-e-āb-dār meñ
aayā kabhī na yaar na aayā maiñ aap meñ
apne aur us ke shikve kiye intizār meñ
nāsūr paḌ ga.ī tire dāñtoñ ke rashk se
rauzan nahīñ haiñ ye guhar-e-ābdār meñ
khā khā ke gul muā huuñ jo maiñ mere ḳhaak ke
tā.ūs bante haiñ chaman-e-rozgār meñ
aate hī fasl-e-gul mujhe josh-e-junūñ huā
zanjīr-e-dar se baaġh ke bāñdho bahār meñ
karte hī saaf ā.īne ko ḳhaak dekh le
jauhar na pūchh jo haiñ har ik ḳhāksār meñ
rakhte nahīñ ġhurūr se vo paañv 'arsh par
chalte haiñ sar ke bal jo rah-e-kū-e-yār meñ
batlā.ūñ kyā vo kaisī hai ārām kī jagah
so jaa.eñ paañv jā.ūñ agar kū-e-yār meñ
apne sivā nahīñ hai koī apnā āshnā
dariyā kī tarah aap haiñ apne kanār meñ
'goyā' kabhī hai yaas kabhī intizār-e-yār
kyā kyā haiñ ranj zindagī-e-musta'ār meñ
kyunkar na KHush ho sar mera laTakka ke dar mein
kya phal laga hai naKHl-e-tamanna-e-yar mein
chaha bahut wali na mua hijr-e-yar mein
mahbub kya ajal bhi nahin iKHtiyar mein
mubaf surKH kyun na ho gesu-e-yar mein
shab-KHun ya'ni late hain shubha-e-tar mein
mubaf hai kinare ka zulf-e-nigar mein
ya barf kaundti hai ye abr-e-bahaar mein
rahat ke sath ranj bhi hai rozgar mein
hansne pe gul ke roti hai shabnam bahaar mein
pinhan hua hai KHal-e-KHat-e-mushk-bar mein
milta nahin hai DhunDhe se nafa tatar mein
mar jaunga KHayal-e-ruKH-o-zulf yar mein
aa jaegi ajal isi lail-o-nahaar mein
lipTi hai choTi yar ki phulon ke haar mein
sumbul ne gul khilae hain fasl-e-bahaar mein
aaun na aap mein jo wo aae kanar mein
rakkhun main apni tarah use intizar mein
sabza tak apni qabar ka KHwabida ho gaya
par hum ko nind aai na ek dam mazar mein
o barq-e-tur ta-ba-kuja lan-taraniyan
pathra gain hain aankhen mere intizar mein
jaen kab aashna teri dariya ki sair ko
ashk-e-rawan se rakhti hain dariya kanar mein
ye kis ne aa ke qabar pe bechain kar diya
kya so rahi thi chain se kunj-e-mazar mein
aaya hai KHwab bhi shab-e-wa'da agar hamein
aankhen khuli rahi hain tere intizar mein
KHak-e-chaman se kya hai mera kalbud bana
daghon se gul jo khilte hain fasl-e-bahaar mein
ba'd az fana bhi husn-parasti se kaam hai
aaina san safai hai sang-e-mazar mein
aansu bahaun aankhon se us ko laga ke main
moti piroun yar ki phulon ke haar mein
kyun munh se bolta nahin nikla hai ab to KHat
darwaza band bagh ka mat kar bahaar mein
rote hain yaad gauhar-e-dandan mein un din
moti bhare hain misl-e-sadaf yan kanar mein
kahiye wo la'l-e-lab KHat-e-mushkin mein dekh kar
paida hua hai lal-e-badaKHshan tatar mein
farhad ki ye aankhen hain shirin ko DhunDhte
ab dil ghazal phirti nahin kohsar mein
muzi hai charKH is se nahin kaj-rawi ba'id
sach yun hai rasti nahin raftar mein
tujh bin nahin ye jalwa-numa shab ko mahtab
chashm-e-falak safed hue intizar mein
to sun ke sath dauDun jo main man' bhi karun
zalim anan-e-sabr nahin iKHtiyar mein
phulon ka haar ban gaya hai motiyon ka haar
aisa KHushi se phul gaya dast-e-yar mein
nafrat ye in gulon ko hai marne ke ba'd bhi
hota nahin hai gul mere sham'-e-mazar mein
gesu ko us ki kuchh nahin parwa-e-naqd-e-dil
ye mal wo hai jo hai sab chashm-e-yar mein
deti hai na-tawani agar ruKHsat-e-chaman
phansta hun dam-e-mauj-e-nasim-e-bahaar mein
karta hai koi turk-dila neza-baziyan
dumbaala surme ka ye nahin chashm-e-yar mein
pisega ustuKHwan asar-e-iztirab-e-dil
'alam ab aasiya ka hai sang-e-mazar mein
bagh-e-jahan mein 'aish ke fursat bahut hai kam
labrez jam-e-umr hai gul ka bahaar mein
kis mah-wash se raat ham-aghosh hum hue
'alam hilal ka hai hamare kanar mein
masl-e-hina hai ghair ki hathon mere bahaar
sarsabz agarche hon chaman-e-rozgar mein
aata hai jab wo tan mein mere jaan aati hai
jaane mein misl-e-umr nahin iKHtiyar mein
allah re safai-e-ruKH-e-yar dekhna
hairan hai aaina kaf-e-aina-dar mein
apne gale ke haar ke gar wo chaDhae phul
phula na phir samaun main kunj-e-mazar mein
gar peshwa-e-KHalq hai zahid to kya hua
tasbih ka imam nahin hai shumar mein
mazmun teri kamar ka hai kya aaj banda gaya
'anqa phansa hai un ki dam-e-shikar mein
jhaDti hain munh se phul jo karta hai baat tu
tujh sa nahin hai gul chaman-e-rozgar mein
qasid to saf kah di mukaddar hai mujh se kya
likkha jo nama yar ne KHatt-e-ghubar mein
talwar le jo hath mein ban jae shaKH-e-gul
sausan ka phul hue sipar dast-e-yar mein
ye kis ne aa ke qabr ko raunda hai paon se
aati hai bu-e-gul meri KHak-e-mazar mein
ba'd az fana bhi KHwahish-e-didar-e-yar hai
rauzan koi zarur hai mere mazar mein
jab raat hoti hai to sitare nikalte hain
afshan zarur chahiye the zulf-e-yar mein
kis ko ye hosh hai jo kare chaak jeb ko
bahar hon apne jame se fasl-e-bahaar mein
farmaish apni dekhne walon pe karti hain
aankhon ke Dore hon mere phulon ke haar mein
panw se apne aaegi sahra mein bhi bahaar
chhaale hamare phul piroenge KHar mein
wajib hai aab-e-tegh se kar lijiye wuzu
sajda jo kijiye KHam-e-abru-e-yar mein
dariya mein us ki tir-e-mizha ka paDe jo 'aks
suraKH ho har ek guhar-e-ab-dar mein
aaya kabhi na yar na aaya main aap mein
apne aur us ke shikwe kiye intizar mein
nasur paD gai tere danton ke rashk se
rauzan nahin hain ye guhar-e-abdar mein
kha kha ke gul mua hun jo main mere KHak ke
taus bante hain chaman-e-rozgar mein
aate hi fasl-e-gul mujhe josh-e-junun hua
zanjir-e-dar se bagh ke bandho bahaar mein
karte hi saf aaine ko KHak dekh le
jauhar na puchh jo hain har ek KHaksar mein
rakhte nahin ghurur se wo panw 'arsh par
chalte hain sar ke bal jo rah-e-ku-e-yar mein
batlaun kya wo kaisi hai aaram ki jagah
so jaen panw jaun agar ku-e-yar mein
apne siwa nahin hai koi apna aashna
dariya ki tarah aap hain apne kanar mein
'goya' kabhi hai yas kabhi intizar-e-yar
kya kya hain ranj zindagi-e-musta'ar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.