kuchh talluq bhi nahin rasm-e-jahan se aage
kuchh ta.alluq bhī nahīñ rasm-e-jahāñ se aage
us se rishta bhī rahā vahm o gumāñ se aage
le ke pahuñchī hai kahāñ sīm-badan kī ḳhvāhish
kuchh ilāqa na rahā sūd-o-ziyāñ se aage
ḳhvāb-zāroñ meñ vo chehra hai numū kī sūrat
aur ik fasl ugī rishta-e-jāñ se aage
kab talak apnī hī sāñsoñ kā chukātā rahūñ qarz
ai mirī aañkh koī ḳhvāb dhuāñ se aage
shāḳh-e-ehsās pe khilte rahe zaḳhmoñ ke gulāb
kis ne mahsūs kiyā shorish-e-jāñ se aage
jab bhī bol uTTheñge tanhā.ī meñ likkhe hue harf
phailte jā.eñge nāqūs o azaañ se aage
jis kī kirnoñ se ujālā hai lahū meñ 'ajmal'
jal rahā hai vo diyā kāhkashāñ se aage
kuchh talluq bhi nahin rasm-e-jahan se aage
us se rishta bhi raha wahm o guman se aage
le ke pahunchi hai kahan sim-badan ki KHwahish
kuchh ilaqa na raha sud-o-ziyan se aage
KHwab-zaron mein wo chehra hai numu ki surat
aur ek fasl ugi rishta-e-jaan se aage
kab talak apni hi sanson ka chukata rahun qarz
ai meri aankh koi KHwab dhuan se aage
shaKH-e-ehsas pe khilte rahe zaKHmon ke gulab
kis ne mahsus kiya shorish-e-jaan se aage
jab bhi bol uTThenge tanhai mein likkhe hue harf
phailte jaenge naqus o azan se aage
jis ki kirnon se ujala hai lahu mein 'ajmal'
jal raha hai wo diya kahkashan se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.