kuchh is tarah se milen hum ki baat rah jae
kuchh is tarah se mileñ ham ki baat rah jaa.e
bichhaḌ bhī jaa.eñ to hāthoñ meñ haat rah jaa.e
ab is ke ba.ad kā mausam hai sardiyoñ vaalā
tire badan kā koī lams saath rah jaa.e
maiñ so rahā huuñ tire ḳhvāb dekhne ke liye
ye aarzū hai ki āñkhoñ meñ raat rah jaa.e
maiñ Duub jā.ūñ samundar kī tez lahroñ meñ
kināre rakkhī huī kā.enāt rah jaa.e
'shakīl' mujh ko sameTe koī zamāne tak
bikhar ke chāroñ taraf merī zaat rah jaa.e
kuchh is tarah se milen hum ki baat rah jae
bichhaD bhi jaen to hathon mein hat rah jae
ab is ke baad ka mausam hai sardiyon wala
tere badan ka koi lams sath rah jae
main so raha hun tere KHwab dekhne ke liye
ye aarzu hai ki aankhon mein raat rah jae
main Dub jaun samundar ki tez lahron mein
kinare rakkhi hui kaenat rah jae
'shakil' mujh ko sameTe koi zamane tak
bikhar ke chaaron taraf meri zat rah jae
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 27)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.