kuchh Dubta ubharta sa rahta hai samne
kuchh Dūbtā ubhartā sā rahtā hai sāmne
har lamha ik tilism-e-tamāsha hai sāmne
uḌtī hai sehn-e-dil meñ tahī-manzarī kī ḳhaak
rañgoñ kā ik hujūm sā bikhrā hai sāmne
bikhrī huī hai dhund sar-e-shīsha-e-talab
be-rañg-o-nūr aks-e-tamannā hai sāmne
zulmāt-e-intishār meñ āñkheñ khulī rakho
tum jis ko DhūñDte ho vo duniyā hai sāmne
ik ḳhauf-e-be-panāh hai āñkhoñ ke ār-pār
tārīkiyoñ meñ Dūbtā lamha hai sāmne
ham phir bhī justujū meñ bhaTakte haiñ dar-ba-dar
hālāñki har qadam pe vo rahtā hai sāmne
kuchh Dubta ubharta sa rahta hai samne
har lamha ek tilism-e-tamasha hai samne
uDti hai sehn-e-dil mein tahi-manzari ki KHak
rangon ka ek hujum sa bikhra hai samne
bikhri hui hai dhund sar-e-shisha-e-talab
be-rang-o-nur aks-e-tamanna hai samne
zulmat-e-intishaar mein aankhen khuli rakho
tum jis ko DhunDte ho wo duniya hai samne
ek KHauf-e-be-panah hai aankhon ke aar-par
tarikiyon mein Dubta lamha hai samne
hum phir bhi justuju mein bhaTakte hain dar-ba-dar
haalanki har qadam pe wo rahta hai samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.