kuchh aur din abhi is ja qayam karna tha
kuchh aur din abhī is jā qayām karnā thā
yahāñ charāġh vahāñ par sitāra dharnā thā
vo raat niind kī dahlīz par tamām huī
abhī to ḳhvāb pe ik aur ḳhvāb dharnā thā
agar rasā meñ na thā vo bharā bharā sā badan
rañg-e-ḳhayāl se us ko tulū karnā thā
nigāh aur charāġh aur ye asāsa-e-jāñ
tamām hotī huī shab ke naam karnā thā
gurez hotā chalā jā rahā thā mujh se vo
aur ek pal ke sire par mujhe Thaharnā thā
kuchh aur din abhi is ja qayam karna tha
yahan charagh wahan par sitara dharna tha
wo raat nind ki dahliz par tamam hui
abhi to KHwab pe ek aur KHwab dharna tha
agar rasa mein na tha wo bhara bhara sa badan
rang-e-KHayal se us ko tulu karna tha
nigah aur charagh aur ye asasa-e-jaan
tamam hoti hui shab ke nam karna tha
gurez hota chala ja raha tha mujh se wo
aur ek pal ke sire par mujhe Thaharna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.