koi kashti mein tanha ja raha hai
koī kashtī meñ tanhā jā rahā hai
kisī ke saath dariyā jā rahā hai
ye bastī bhī na kyā raas aa.ī us ko
uThā kar kyuuñ vo ḳhema jā rahā hai
kahīñ ik buuñd bhī barsā na paanī
kahīñ bādal barastā jā rahā hai
diye ek ek kar ke bujh rahe haiñ
añdherā hai ki baḌhtā jā rahā hai
pahāḌ uupar to nīche khā.iyāñ haiñ
jahāñ se ho ke rasta jā rahā hai
vo vāpas le rahā hai qarz apnā
hamāre paas se kyā jā rahā hai
koi kashti mein tanha ja raha hai
kisi ke sath dariya ja raha hai
ye basti bhi na kya ras aai us ko
uTha kar kyun wo KHema ja raha hai
kahin ek bund bhi barsa na pani
kahin baadal barasta ja raha hai
diye ek ek kar ke bujh rahe hain
andhera hai ki baDhta ja raha hai
pahaD upar to niche khaiyan hain
jahan se ho ke rasta ja raha hai
wo wapas le raha hai qarz apna
hamare pas se kya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.