kisi KHayal ki shabnam se nam nahin hota
kisī ḳhayāl kī shabnam se nam nahīñ hotā
ajiib dard hai baḌhtā hai kam nahīñ hotā
maiñ aa rahā huuñ abhī chuum kar badan us kā
sunā thā aag pe bosa raqam nahīñ hotā
tumhāre saath maiñ chal to rahā huuñ chalne ko
har ik hujūm meñ lekin maiñ zam nahīñ hotā
maiñ aise ḳhitta-e-zarḳhez kā makīñ huuñ jahāñ
sanam-tarāsh ko patthar baham nahīñ hotā
jinheñ ye zid ho ki choTī talak pahuñchnā hai
unheñ pahāḌ se girne kā ġham nahīñ hotā
kisi KHayal ki shabnam se nam nahin hota
ajib dard hai baDhta hai kam nahin hota
main aa raha hun abhi chum kar badan us ka
suna tha aag pe bosa raqam nahin hota
tumhaare sath main chal to raha hun chalne ko
har ek hujum mein lekin main zam nahin hota
main aise KHitta-e-zarKHez ka makin hun jahan
sanam-tarash ko patthar baham nahin hota
jinhen ye zid ho ki choTi talak pahunchna hai
unhen pahaD se girne ka gham nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.