kisi ke hijr mein jina muhaal ho gaya hai
kisī ke hijr meñ jiinā muhāl ho gayā hai
kise batā.eñ hamārā jo haal ho gayā hai
kahīñ girā hai na rauñdā gayā hai dil phir bhī
shikasta ho gayā hai pā.emāl ho gayā hai
sahar jo aa.ī hai shab ke tamām hone par
to is meñ kaun sā aisā kamāl ho gayā hai
koī bhī chiiz salāmat nahīñ magar ye dil
shikastagī meñ jo apnī misāl ho gayā hai
udhar charāġh jale haiñ kisī darīche meñ
idhar vazīfa-e-dil bhī bahāl ho gayā hai
hayā kā rang jo aayā hai us ke chehre par
ye rang hāsil-e-shām-e-visāl ho gayā hai
masāfat-e-shab-e-hijrāñ meñ chāñd bhī 'ajmal'
thakan se chuur ġhamoñ se niDhāl ho gayā hai
kisi ke hijr mein jina muhaal ho gaya hai
kise bataen hamara jo haal ho gaya hai
kahin gira hai na raunda gaya hai dil phir bhi
shikasta ho gaya hai paemal ho gaya hai
sahar jo aai hai shab ke tamam hone par
to is mein kaun sa aisa kamal ho gaya hai
koi bhi chiz salamat nahin magar ye dil
shikastagi mein jo apni misal ho gaya hai
udhar charagh jale hain kisi dariche mein
idhar wazifa-e-dil bhi bahaal ho gaya hai
haya ka rang jo aaya hai us ke chehre par
ye rang hasil-e-sham-e-visal ho gaya hai
masafat-e-shab-e-hijran mein chand bhi 'ajmal'
thakan se chur ghamon se niDhaal ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.