KHwab ko surat-e-haalat bana jata hai
ḳhvāb ko sūrat-e-hālāt banā jaatā hai
dil ko aanā ho to be-vaqt bhī aa jaatā hai
ho ke nārāz na jaa.e koī mehmāñ varna
ghar se vasf-e-dar-o-dīvār chalā jaatā hai
aañkh se aañkh milānā to suḳhan mat karnā
Tok dene se kahānī kā mazā jaatā hai
Thiik kahte ho ki āseb-zada hotā hai ishq
mere andar bhī koī shor machā jaatā hai
pyaar aa jaa.e to phir pyaar hī kiije varna
jis tarah aatā hai us tarah chalā jaatā hai
maiñ to har faisla hī kartā huuñ apne haq meñ
par koī adl kī zanjīr hilā jaatā hai
umr-e-rafta meñ tujhe yaad kahāñ kartā huuñ
bas zarā yuuñ hī tirā dhyān sā aa jaatā hai
koī pāgal mujhe kahtā hai to kyā hai 'mohsin'
ek pāgal ko to pāgal hī kahā jaatā hai
KHwab ko surat-e-haalat bana jata hai
dil ko aana ho to be-waqt bhi aa jata hai
ho ke naraaz na jae koi mehman warna
ghar se wasf-e-dar-o-diwar chala jata hai
aankh se aankh milana to suKHan mat karna
Tok dene se kahani ka maza jata hai
Thik kahte ho ki aaseb-zada hota hai ishq
mere andar bhi koi shor macha jata hai
pyar aa jae to phir pyar hi kije warna
jis tarah aata hai us tarah chala jata hai
main to har faisla hi karta hun apne haq mein
par koi adl ki zanjir hila jata hai
umr-e-rafta mein tujhe yaad kahan karta hun
bas zara yun hi tera dhyan sa aa jata hai
koi pagal mujhe kahta hai to kya hai 'mohsin'
ek pagal ko to pagal hi kaha jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.