KHushi mili to bahut hi udas baiThe rahe
ḳhushī milī to bahut hī udaas baiThe rahe
chalā gayā vo to ham us ke paas baiThe rahe
jamāl-e-yār kī lazzat bayān kyā karte
nazar meñ shauq badan meñ hirās baiThe rahe
barahnagī hī kuchh aisī thī shahr-e-ġhurbat kī
qabā pahan ke bhī ham be-libās baiThe rahe
ye vāqi.a mirī āñkhoñ ke sāmne kā hai
sharāb naach rahī thī gilās baiThe rahe
isī ko husn-e-nazar kā kamāl kahte haiñ
tamām shab tire lazzat-shanās baiThe rahe
Thahar Thahar ke vo dariyā bulā rahā thā 'qais'
ham apnī āñkhoñ meñ bhar bhar ke pyaas baiThe rahe
KHushi mili to bahut hi udas baiThe rahe
chala gaya wo to hum us ke pas baiThe rahe
jamal-e-yar ki lazzat bayan kya karte
nazar mein shauq badan mein hiras baiThe rahe
barahnagi hi kuchh aisi thi shahr-e-ghurbat ki
qaba pahan ke bhi hum be-libas baiThe rahe
ye waqia meri aankhon ke samne ka hai
sharab nach rahi thi gilas baiThe rahe
isi ko husn-e-nazar ka kamal kahte hain
tamam shab tere lazzat-shanas baiThe rahe
Thahar Thahar ke wo dariya bula raha tha 'qais'
hum apni aankhon mein bhar bhar ke pyas baiThe rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.