KHud se milne ke liye KHud se guzar kar aaya
ḳhud se milne ke liye ḳhud se guzar kar aayā
kis qadar saḳht muhim thī ki jo sar kar aayā
laash hotā to ubhar aatā kī ik maiñ hī kyā
sat.h par koī bhī patthar na ubhar kar aayā
sirf darvāze talak jā ke hī lauT aayā huuñ
aisā lagtā hai ki sadiyoñ kā safar kar aayā
chāñd qadmoñ pe paḌā mujh ko bulātā hī rahā
maiñ hī ḳhud baam se apne na utar kar aayā
mujh ko aanā hī thā ik roz haqīqat ke qarīb
zindagī meñ nahīñ aayā thā to mar kar aayā
KHud se milne ke liye KHud se guzar kar aaya
kis qadar saKHt muhim thi ki jo sar kar aaya
lash hota to ubhar aata ki ek main hi kya
sath par koi bhi patthar na ubhar kar aaya
sirf darwaze talak ja ke hi lauT aaya hun
aisa lagta hai ki sadiyon ka safar kar aaya
chand qadmon pe paDa mujh ko bulata hi raha
main hi KHud baam se apne na utar kar aaya
mujh ko aana hi tha ek roz haqiqat ke qarib
zindagi mein nahin aaya tha to mar kar aaya
- Book : ras-Rang(Mehfil-e-Adab) (Pg. 5)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.