KHud apne aks ko hairat se dekhta hun main
ḳhud apne aks ko hairat se dekhtā huuñ maiñ
kanār-e-āb baḌī der se khaḌā huuñ maiñ
svāñg bhartā phirūñ kab talak mohabbat ke
maiñ kyuuñ na saaf hī kah duuñ ki bevafā huuñ maiñ
sunā na qisse mujhe dāmanoñ kī ismat ke
ki tere shahr ke logoñ ko jāntā huuñ maiñ
vo kaun hai jo mire saath saath chaltā hai
ye dekhne ko ka.ī baar ruk gayā huuñ maiñ
maiñ aaj dekh sakūñgā tulūa kā manzar
ki raat biit chalī aur jāgtā huuñ maiñ
sitam hai tū bhī mujhe ḳhud-ġharaz samajhtā hai
ki tere haq meñ to ḳhud se bhī laḌ rahā huuñ maiñ
vo jī rahe haiñ ki jo soch se hue aarī
maiñ mar rahā huuñ ki 'betāb' sochtā huuñ maiñ
KHud apne aks ko hairat se dekhta hun main
kanar-e-ab baDi der se khaDa hun main
swang bharta phirun kab talak mohabbat ke
main kyun na saf hi kah dun ki bewafa hun main
suna na qisse mujhe damanon ki ismat ke
ki tere shahr ke logon ko jaanta hun main
wo kaun hai jo mere sath sath chalta hai
ye dekhne ko kai bar ruk gaya hun main
main aaj dekh sakunga tulua ka manzar
ki raat bit chali aur jagta hun main
sitam hai tu bhi mujhe KHud-gharaz samajhta hai
ki tere haq mein to KHud se bhi laD raha hun main
wo ji rahe hain ki jo soch se hue aari
main mar raha hun ki 'betab' sochta hun main
- Book : intekhab-e-zarrin (Pg. 374)
- Author : Khvaja Mohammad Zakariya
- Publication : Sangeet publication (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.