kaun utra nazar ke zine se
kaun utrā nazar ke ziine se
mahfil-e-dil sajī qarīne se
shaiḳh-sāhib mujhe aqīdat hai
gungunāte hue mahīne se
mai ko gul-rañg kar diyā kis ne
ḳhuun le kar kalī ke siine se
koī sāhil na nāḳhudā apnā
ham to mānūs haiñ safīne se
kis kā e.ajāz hai ki rindoñ ko
chain miltā hai aag piine se
pī ke jiite haiñ jī ke piite haiñ
ham ko raġhbat hai aise jiine se
mai ki taqdīs kā javāb kahāñ
daaġh dhulte haiñ dil ke piine se
haa.e 'altāf' vo urūs-e-bahār
jhāñktī hai jo ābgīne se
kaun utra nazar ke zine se
mahfil-e-dil saji qarine se
shaiKH-sahib mujhe aqidat hai
gungunate hue mahine se
mai ko gul-rang kar diya kis ne
KHun le kar kali ke sine se
koi sahil na naKHuda apna
hum to manus hain safine se
kis ka eajaz hai ki rindon ko
chain milta hai aag pine se
pi ke jite hain ji ke pite hain
hum ko raghbat hai aise jine se
mai ki taqdis ka jawab kahan
dagh dhulte hain dil ke pine se
hae 'altaf' wo urus-e-bahaar
jhankti hai jo aabgine se
- Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 47)
- Author : devendra issar
- Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (1963)
- Edition : 1963
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.