karen salam use to koi jawab na de
kareñ salām use to koī javāb na de
ilāhī itnā bhī us shaḳhs ko hijāb na de
tamām shahr ke chehroñ ko paḌhne niklā huuñ
ai mere dost mire haath meñ kitāb na de
ġhazal ke naam ko badnām kar diyā us ne
kuchh aur de mire saaqī mujhe sharāb na de
maiñ tujh ko dekh ke tere bharam ko jaan sukūñ
ik aadmī huuñ zarā soch aisī taab na de
vo mil na paa.e agar mujh ko is zamāne meñ
to aisī huur kā duniyā meñ koī ḳhvāb na de
ye mere fan kī talab hai ki dil kī baat kahūñ
vo 'ashk' de ki zamāne ko inqilāb na de
karen salam use to koi jawab na de
ilahi itna bhi us shaKHs ko hijab na de
tamam shahr ke chehron ko paDhne nikla hun
ai mere dost mere hath mein kitab na de
ghazal ke nam ko badnam kar diya us ne
kuchh aur de mere saqi mujhe sharab na de
main tujh ko dekh ke tere bharam ko jaan sukun
ek aadmi hun zara soch aisi tab na de
wo mil na pae agar mujh ko is zamane mein
to aisi hur ka duniya mein koi KHwab na de
ye mere fan ki talab hai ki dil ki baat kahun
wo 'ashk' de ki zamane ko inqilab na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.