kaise afsun the wahan kaise fasane the udhar
kaise afsūñ the vahāñ kaise fasāne the udhar
zindagī tujh se ta.alluq ke bahāne the udhar
kyā ajab ḳhvāb ke ḳhushbū ke Thikāne the udhar
ab to kuchh yaad nahīñ kaun zamāne the udhar
ye nahīñ yaad ki vo baaġh thā kis kūche meñ
is qadar yaad hai kuchh phuul khilāne the udhar
ek bastī thī huī vaqt ke andoh meñ gum
chāhne vaale bahut apne purāne the udhar
ham idhar aa.e to vo arz-e-karam chūTegī
mamlikat ishq kī thī ġham ke ḳhazāne the udhar
kaise afsun the wahan kaise fasane the udhar
zindagi tujh se talluq ke bahane the udhar
kya ajab KHwab ke KHushbu ke Thikane the udhar
ab to kuchh yaad nahin kaun zamane the udhar
ye nahin yaad ki wo bagh tha kis kuche mein
is qadar yaad hai kuchh phul khilane the udhar
ek basti thi hui waqt ke andoh mein gum
chahne wale bahut apne purane the udhar
hum idhar aae to wo arz-e-karam chuTegi
mamlikat ishq ki thi gham ke KHazane the udhar
- Book : Aazkar (Pg. 134)
- Author : Amjad Hussain Hafiz Karnataki
- Publication : Karnataka Urdu Academy (issue:23 April,May,June-2013)
- Edition : issue:23 April,May,June-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.