kabhi kuchh to kisi ke waste dil se dua kar lo
kabhī kuchh to kisī ke vāste dil se duā kar lo
yahī insāniyat kā farz hai tum bhī adā kar lo
ye duniyā ḳhūb-sūrat hai yaqīñ aa jā.egā tum ko
kisī se dil lagāne kī kabhī koī ḳhatā kar lo
hamārī apnī fitrat hai vafā karnā vafā kar lī
tumhārī apnī marzī hai vafā kar lo jafā kar lo
tumhāre har qadam par kyoñ na jaane dil dhaḌaktā hai
tumhārā kyā bharosa tum na jaane kyā se kyā kar lo
koī bhī shaḳhs duniyā meñ tumheñ chhoTā nazar na aa.e
tum apne sochne kā dā.era itnā baḌā kar lo
kabhi kuchh to kisi ke waste dil se dua kar lo
yahi insaniyat ka farz hai tum bhi ada kar lo
ye duniya KHub-surat hai yaqin aa jaega tum ko
kisi se dil lagane ki kabhi koi KHata kar lo
hamari apni fitrat hai wafa karna wafa kar li
tumhaari apni marzi hai wafa kar lo jafa kar lo
tumhaare har qadam par kyon na jaane dil dhaDakta hai
tumhaara kya bharosa tum na jaane kya se kya kar lo
koi bhi shaKHs duniya mein tumhein chhoTa nazar na aae
tum apne sochne ka daera itna baDa kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.