kabhi kabhi chup ho jaane ki KHwahish hoti hai
kabhī kabhī chup ho jaane kī ḳhvāhish hotī hai
aaise meñ jab tīr-e-sitam kī bārish hotī hai
haal hamārā sunñe vaale jaane kyā socheñ
yuuñ bhī kaisī kaisī zehnī kāvish hotī hai
dīvāroñ par kyā likkhā hai paḌh ke batlāo
kyā aisī bātoñ par yaaro nālish hotī hai
ham is kī ta.amīl meñ dīvāne ban jaate haiñ
dil aaise nādāñ kī jab farmā.ish hotī hai
duniyā se ik roz hamārī baat huī chhup kar
so be-chārī kī ab tak fahmā.ish hotī hai
ek hī chhat ke nīche chāroñ vahshī kyā baiThe
dānāoñ ne samjhā koī sāzish hotī hai
yuuñ bhī ham ko shā.er-vā.er kahlānā kab thā
sheroñ meñ bhī apne jhūTī dānish hotī hai
kabhi kabhi chup ho jaane ki KHwahish hoti hai
aaise mein jab tir-e-sitam ki barish hoti hai
haal hamara sunne wale jaane kya sochen
yun bhi kaisi kaisi zehni kawish hoti hai
diwaron par kya likkha hai paDh ke batlao
kya aisi baaton par yaro nalish hoti hai
hum is ki tamil mein diwane ban jate hain
dil aaise nadan ki jab farmaish hoti hai
duniya se ek roz hamari baat hui chhup kar
so be-chaari ki ab tak fahmaish hoti hai
ek hi chhat ke niche chaaron wahshi kya baiThe
danaon ne samjha koi sazish hoti hai
yun bhi hum ko shaer-waer kahlana kab tha
sheron mein bhi apne jhuTi danish hoti hai
- Book : khush ahjaar (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.