jo tu nahin to mausam-e-malal bhi na aaega
jo tū nahīñ to mausam-e-malāl bhī na aa.egā
ga.e dinoñ ke baad ahd-e-hāl bhī na aa.egā
mirī suḳhan-sarā.iyoñ kā e'tibār to nahīñ
jo tū nahīñ to hijr kā savāl bhī na aa.egā
agar vo aaj raat hadd-e-iltifāt toḌ de
kabhī phir us se pyaar kā ḳhayāl bhī na aa.egā
shab-e-visāl hai bisāt-e-hijr hī ulaT ga.ī
to phir kabhī ḳhayāl-e-māh-o-sāl bhī na aa.egā
milegā kyā tilism-e-zāt kā hisār toḌ kar
ki is ke baad shahr-e-be-misāl bhī na aa.egā
jo tu nahin to mausam-e-malal bhi na aaega
gae dinon ke baad ahd-e-haal bhi na aaega
meri suKHan-saraiyon ka e'tibar to nahin
jo tu nahin to hijr ka sawal bhi na aaega
agar wo aaj raat hadd-e-iltifat toD de
kabhi phir us se pyar ka KHayal bhi na aaega
shab-e-visal hai bisat-e-hijr hi ulaT gai
to phir kabhi KHayal-e-mah-o-sal bhi na aaega
milega kya tilism-e-zat ka hisar toD kar
ki is ke baad shahr-e-be-misal bhi na aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.