jo karwan mein hai shamil na rahguzar mein hai
jo kārvāñ meñ hai shāmil na rahguzār meñ hai
vo shaḳhs merī tamannāoñ ke dayār meñ hai
sahar-shanās añdhere ki shab-gazīda sahar
na vo nigāh meñ apnī na ye shumār meñ hai
ye kyā ḳhalish hai ki lau de rahī hai jazboñ ko
na jaane kaun sā sho'la mere sharār meñ hai
basī hai sūkhe gulāboñ kī baat sāñsoñ meñ
koī ḳhayāl kisī yaad ke hisār meñ hai
rachī huī hai fazāoñ meñ kis ke ḳhuun kī bū
ye kaisā jashn-e-bahārāñ mire dayār meñ hai
na jaane kaun se jhoñke se jal-bujhūñ 'uzma'
mirā vajūd havāoñ ke kār-zār meñ hai
jo karwan mein hai shamil na rahguzar mein hai
wo shaKHs meri tamannaon ke dayar mein hai
sahar-shanas andhere ki shab-gazida sahar
na wo nigah mein apni na ye shumar mein hai
ye kya KHalish hai ki lau de rahi hai jazbon ko
na jaane kaun sa sho'la mere sharar mein hai
basi hai sukhe gulabon ki baat sanson mein
koi KHayal kisi yaad ke hisar mein hai
rachi hui hai fazaon mein kis ke KHun ki bu
ye kaisa jashn-e-bahaaran mere dayar mein hai
na jaane kaun se jhonke se jal-bujhun 'uzma'
mera wajud hawaon ke kar-zar mein hai
- Book : Sitara Pas e Mizgaan (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.