jo bhi sukhe gul kitabon mein mile achchhe lage
jo bhī sūkhe gul kitāboñ meñ mile achchhe lage
hoñ vo lamhe yā bashar chhūTe hue achchhe lage
barg-o-gul pe to hameñ shabnam baḌī achchhī lagī
ashk lekin kab tire ruḳhsār pe achchhe lage
dilkashī thī unsiyat thī yā mohabbat yā junūn
sab marāhil tujh se jo mansūb the achchhe lage
kāġhzī kashtī kā rishta ḳhuub hai 'ālok' se
jhūThe jitne bhī the va.ade aap ke achchhe lage
jo bhi sukhe gul kitabon mein mile achchhe lage
hon wo lamhe ya bashar chhuTe hue achchhe lage
barg-o-gul pe to hamein shabnam baDi achchhi lagi
ashk lekin kab tere ruKHsar pe achchhe lage
dilkashi thi unsiyat thi ya mohabbat ya junun
sab marahil tujh se jo mansub the achchhe lage
kaghzi kashti ka rishta KHub hai 'alok' se
jhuThe jitne bhi the wade aap ke achchhe lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.