jis tarah log KHasare mein bahut sochte hain
jis tarah log ḳhasāre meñ bahut sochte haiñ
aaj kal ham tire baare meñ bahut sochte haiñ
kaun hālāt kī sochoñ ke tamavvuj meñ nahīñ
ham bhī bah kar isī dhāre meñ bahut sochte haiñ
hunar-e-kūza-garī ne inheñ baḳhshī hai tarāsh
yā ye sab naqsh the gaare meñ bahut sochte haiñ
dhyān dhartī kā nikaltā hī nahīñ hai dil se
jab se utre haiñ sitāre meñ bahut sochte haiñ
ab mohabbat meñ bhī 'iqbāl' hamārī auqāt
kyuuñ nahīñ apne guzāre meñ bahut sochte haiñ
jis tarah log KHasare mein bahut sochte hain
aaj kal hum tere bare mein bahut sochte hain
kaun haalat ki sochon ke tamawwuj mein nahin
hum bhi bah kar isi dhaare mein bahut sochte hain
hunar-e-kuza-gari ne inhen baKHshi hai tarash
ya ye sab naqsh the gare mein bahut sochte hain
dhyan dharti ka nikalta hi nahin hai dil se
jab se utre hain sitare mein bahut sochte hain
ab mohabbat mein bhi 'iqbaal' hamari auqat
kyun nahin apne guzare mein bahut sochte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.