jin KHwabon se nind uD jae aise KHwab sajae kaun
jin ḳhvāboñ se niind uḌ jaa.e aise ḳhvāb sajā.e kaun
ik pal jhūTī taskīñ pā kar saarī raat gañvā.e kaun
ye tanhā.ī ye sannāTā dil ko magar samjhā.e kaun
itnī bhayānak raat meñ āḳhir milne vaalā aa.e kaun
sunte haiñ ki in rāhoñ meñ majnūñ aur farhād luTe
lekin ab aadhe raste se lauT ke vāpas jaa.e kaun
sunte samajhte hoñ to un se koī apnī baat kahe
gūñgoñ aur bahroñ ke aage Dhol bajāne jaa.e kaun
us mahfil meñ log haiñ jitne sab ko apnā ronā hai
'tābish' maiñ ḳhāmosh-tabī.at merā haal sunā.e kaun
jin KHwabon se nind uD jae aise KHwab sajae kaun
ek pal jhuTi taskin pa kar sari raat ganwae kaun
ye tanhai ye sannaTa dil ko magar samjhae kaun
itni bhayanak raat mein aaKHir milne wala aae kaun
sunte hain ki in rahon mein majnun aur farhad luTe
lekin ab aadhe raste se lauT ke wapas jae kaun
sunte samajhte hon to un se koi apni baat kahe
gungon aur bahron ke aage Dhol bajaane jae kaun
us mahfil mein log hain jitne sab ko apna rona hai
'tabish' main KHamosh-tabiat mera haal sunae kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.