jasarat ke rahte bhi KHamosh hona
jasārat ke rahte bhī ḳhāmosh honā
hai is ke sivā kyā sitam-posh honā
pareshāñ nahīñ tohmatoñ se maiñ lekin
girāñ hai tumhārā ye ḳhāmosh honā
mohabbat meñ ilzām lagne do yaaro
vafā meñ hai jaa.ez ḳhatā-posh honā
vahī ik qad-āvar jo tash.hīr meñ thā
pur-asrār hai us kā rū-posh honā
mirī chāhatoñ ko havā de gayā hai
un āñkhoñ kā va.ada-farāmosh honā
palak tak kabhī ek qatra na pahuñchā
hai āñkhoñ kī qismat balā-nosh honā
sitam hai balā hai qayāmat hai goyā
bichhaḌne se pahle ham-āġhosh honā
jasarat ke rahte bhi KHamosh hona
hai is ke siwa kya sitam-posh hona
pareshan nahin tohmaton se main lekin
giran hai tumhaara ye KHamosh hona
mohabbat mein ilzam lagne do yaro
wafa mein hai jaez KHata-posh hona
wahi ek qad-awar jo tashhir mein tha
pur-asrar hai us ka ru-posh hona
meri chahaton ko hawa de gaya hai
un aankhon ka wada-faramosh hona
palak tak kabhi ek qatra na pahuncha
hai aankhon ki qismat bala-nosh hona
sitam hai bala hai qayamat hai goya
bichhaDne se pahle ham-aghosh hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.