jaise koi ziddi bachcha kab bahle bahlane se
jaise koī ziddī bachcha kab bahle bahlāne se
aise ham duniyā se chhup kar dekheñ ḳhvāb suhāne se
sab kuchh samjhe lekin itnī baat nahīñ pahchāne log
mil jaatā hai chain kisī ko ek tumhāre aane se
ham to ġham kī ek ik shiddat bāhar aane se rokeñ
us kī āñkheñ baaz na aa.iiñ añgāre barsāne se
logo! ham pardesī ho kar jaane kyā kyā kho baiThe
apne kūche bhī lagte haiñ begāne begāne se
dekho dost! tumhārā maqsad shāyad hamdardī hī ho
merā paikar TuuT giregā vo bāteñ dohrāne se
ghar kā sannāTā to 'humairā' hañgāmoñ kī nazr huā
dil kī vīrānī vaisī kī vaisī ek zamāne se
jaise koi ziddi bachcha kab bahle bahlane se
aise hum duniya se chhup kar dekhen KHwab suhane se
sab kuchh samjhe lekin itni baat nahin pahchane log
mil jata hai chain kisi ko ek tumhaare aane se
hum to gham ki ek ek shiddat bahar aane se roken
us ki aankhen baz na aain angare barsane se
logo! hum pardesi ho kar jaane kya kya kho baiThe
apne kuche bhi lagte hain begane begane se
dekho dost! tumhaara maqsad shayad hamdardi hi ho
mera paikar TuT girega wo baaten dohrane se
ghar ka sannaTa to 'humaira' hangamon ki nazr hua
dil ki virani waisi ki waisi ek zamane se
- Book : URDU INTERNATIONAL (Pg. 141)
- Author : Ashfaq Hussain
- Publication : 9-Thirty fifth Street, Suite 2, Toronto, Ontario, Canada M8W 3J8 (February 1983,Issue No: 1 ,Volume 2)
- Edition : February 1983,Issue No: 1 ,Volume 2
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.