jab wahime aawaz ki buniyaad se nikle
jab vāhime āvāz kī buniyād se nikle
ghabrā.e hue ham suḳhan-ābād se nikle
samtoñ kā ta.ayyun to sitāroñ se huā hai
lekin ye sitāre mirī fariyād se nikle
maiñ baiTh gayā ḳhaak pe tasvīr banāne
jo kibr the mujh meñ vo tirī yaad se nikle
ḳhud ko maiñ bhalā zer-e-zamīñ kaise dabātā
jitne bhī khañDar nikle vo ābād se nikle
dil pahuñchā achānak hī tayaqqun kī fazā tak
sab vahm-o-gumāñ ishq kī asnād se nikle
maiñ dars use ab koī detā bhī to kaise
pahle se use saare sabaq yaad se nikle
jab wahime aawaz ki buniyaad se nikle
ghabrae hue hum suKHan-abaad se nikle
samton ka tayyun to sitaron se hua hai
lekin ye sitare meri fariyaad se nikle
main baiTh gaya KHak pe taswir banane
jo kibr the mujh mein wo teri yaad se nikle
KHud ko main bhala zer-e-zamin kaise dabaata
jitne bhi khanDar nikle wo aabaad se nikle
dil pahuncha achanak hi tayaqqun ki faza tak
sab wahm-o-guman ishq ki asnad se nikle
main dars use ab koi deta bhi to kaise
pahle se use sare sabaq yaad se nikle
- Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 57)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.