jab tak ye mohabbat mein badnam nahin hota
jab tak ye mohabbat mein badnam nahin hota
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
jab tak ye mohabbat meñ badnām nahīñ hotā
is dil ke ta.iiñ hargiz ārām nahīñ hotā
aalam se hamārā kuchh maz.hab hī nirālā hai
ya.anī haiñ jahāñ ham vaañ islām nahīñ hotā
kab va.ada nahīñ kartīñ milne kā tirī āñkheñ
kis roz nigāhoñ meñ paiġhām nahīñ hotā
baal apne baḌhāte haiñ kis vāste dīvāne
kyā shahr-e-mohabbat meñ hajjām nahīñ hotā
miltā hai kabhī bosa ne gaalī hī paate haiñ
muddat huī kuchh ham ko in.aam nahīñ hotā
saaqī ke talattuf ne aalam ko chhakāyā hai
labrez hamārā hī ik jaam nahīñ hotā
kyuuñ tīrgī-e-tāl.e kuchh tū bhī nahīñ kartī
ye roz-e-musībat kā kyuuñ shaam nahīñ hotā
phir merī kamand us ne Daale hī tuḌā.ī hai
vo āhu-e-ram-ḳhurda phir raam nahīñ hotā
ne ishq ke qābil haiñ ne zohd ke darḳhur haiñ
ai 'mus.hafī' ab ham se kuchh kaam nahīñ hotā
jab tak ye mohabbat mein badnam nahin hota
is dil ke tain hargiz aaram nahin hota
aalam se hamara kuchh mazhab hi nirala hai
yani hain jahan hum wan islam nahin hota
kab wada nahin kartin milne ka teri aankhen
kis roz nigahon mein paigham nahin hota
baal apne baDhate hain kis waste diwane
kya shahr-e-mohabbat mein hajjam nahin hota
milta hai kabhi bosa ne gali hi pate hain
muddat hui kuchh hum ko inam nahin hota
saqi ke talattuf ne aalam ko chhakaya hai
labrez hamara hi ek jam nahin hota
kyun tirgi-e-tale kuchh tu bhi nahin karti
ye roz-e-musibat ka kyun sham nahin hota
phir meri kamand us ne Dale hi tuDai hai
wo aahu-e-ram-KHurda phir ram nahin hota
ne ishq ke qabil hain ne zohd ke darKHur hain
ai 'mushafi' ab hum se kuchh kaam nahin hota
- Book : kulliyat-e-mas.hafii (Pg. 84)
- Author : ghulaam hamdaanii mashafii
- Publication : qaumi council baraye -farogh urdu (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.