jab bhi TuTa mere KHwabon ka hasin taj-mahal
jab bhī TuuTā mire ḳhvāboñ kā hasīñ tāj-mahal
maiñ ne ghabrā ke kahī 'mīr' ke lahje meñ ġhazal
ḳhair-maqdam ko tire aa.egā ḳhud hī sūraj
tū kabhī raat kī dahlīz se bāhar to nikal
apne afsāne se dilchaspiyāñ kuchh kam kar de
niiñd ke bojh se hone lagīñ palkeñ bojhal
hādse raah ke zevar haiñ musāfir ke liye
ek Thokar jo lagī hai to irāda na badal
bolne ke liye chāhā hai mujhe us ne 'farāz'
band hone ke liye khilte haiñ paanī meñ kañval
jab bhi TuTa mere KHwabon ka hasin taj-mahal
main ne ghabra ke kahi 'mir' ke lahje mein ghazal
KHair-maqdam ko tere aaega KHud hi suraj
tu kabhi raat ki dahliz se bahar to nikal
apne afsane se dilchaspiyan kuchh kam kar de
nind ke bojh se hone lagin palken bojhal
hadse rah ke zewar hain musafir ke liye
ek Thokar jo lagi hai to irada na badal
bolne ke liye chaha hai mujhe us ne 'faraaz'
band hone ke liye khilte hain pani mein kanwal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.