jab bhi milte hain to jine ki dua dete hain
jab bhī milte haiñ to jiine kī duā dete haiñ
jaane kis baat kī vo ham ko sazā dete haiñ
hādse jaan to lete haiñ magar sach ye hai
hādse hī hameñ jiinā bhī sikhā dete haiñ
raat aa.ī to taḌapte haiñ charāġhoñ ke liye
sub.h hote hī jinheñ log bujhā dete haiñ
hosh meñ ho ke bhī saaqī kā bharam rakhne ko
laḌkhaḌāne kī ham afvāh uḌā dete haiñ
kyuuñ na lauTe vo udāsī kā musāfir yaaro
zaḳhm siine ke use roz sadā dete haiñ
jab bhi milte hain to jine ki dua dete hain
jaane kis baat ki wo hum ko saza dete hain
hadse jaan to lete hain magar sach ye hai
hadse hi hamein jina bhi sikha dete hain
raat aai to taDapte hain charaghon ke liye
subh hote hi jinhen log bujha dete hain
hosh mein ho ke bhi saqi ka bharam rakhne ko
laDkhaDane ki hum afwah uDa dete hain
kyun na lauTe wo udasi ka musafir yaro
zaKHm sine ke use roz sada dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.