ishq se jam se barsat se Dar lagta hai
ishq se jaam se barsāt se Dar lagtā hai
yaar tum kyā ho ki har baat se Dar lagtā hai
ishq hai ishq koī khel nahīñ bachchoñ kā
vo chalā jaa.e jise maat se Dar lagtā hai
maiñ tire husn kā shaidā.ī nahīñ ho saktā
roz baTtī huī ḳhairāt se Dar lagtā hai
ham ne hālāt badalne kī duā māñgī thī
ab badalte hue hālāt se Dar lagtā hai
dil to kartā hai ki bārish meñ nahā.eñ 'yāsir'
ghar jo kachchā ho to barsāt se Dar lagtā hai
ishq se jam se barsat se Dar lagta hai
yar tum kya ho ki har baat se Dar lagta hai
ishq hai ishq koi khel nahin bachchon ka
wo chala jae jise mat se Dar lagta hai
main tere husn ka shaidai nahin ho sakta
roz baTti hui KHairaat se Dar lagta hai
hum ne haalat badalne ki dua mangi thi
ab badalte hue haalat se Dar lagta hai
dil to karta hai ki barish mein nahaen 'yasir'
ghar jo kachcha ho to barsat se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.