is par na ja ki dasht si viran hain putliyan
is par na jā ki dasht sī vīrāñ haiñ putliyāñ
vo din bhī the ki ḳhvāb ke hiire jaḌe rahe
poshīda til kī oT meñ kohsār-e-jāñ rahā
barsoñ hamārī zaat pe parde paḌe rahe
ik dandanātī rail sī umreñ guzar ga.iiñ
do pTriyoñ ke beach vahī fāsle rahe
ik umr terī yaad ke shahr-e-tilism meñ
patthar kā nisf aadmī ban kar khaḌe rahe
is ḳhāk-e-rah ko kar diyā ham-dosh-e-zar magar
sañg āstān-e-yār ke patthar bane rahe
is par na ja ki dasht si viran hain putliyan
wo din bhi the ki KHwab ke hire jaDe rahe
poshida til ki oT mein kohsar-e-jaan raha
barson hamari zat pe parde paDe rahe
ek dandanati rail si umren guzar gain
do pTriyon ke beach wahi fasle rahe
ek umr teri yaad ke shahr-e-tilism mein
patthar ka nisf aadmi ban kar khaDe rahe
is KHak-e-rah ko kar diya ham-dosh-e-zar magar
sang aastan-e-yar ke patthar bane rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.