ek muntazir-e-wada ki shama jali hogi
ik muntazir-e-va.ada kī sham.a jalī hogī
sūraj ke nikalne se kyā raat Dhalī hogī
batlā.eñ Thikānā kyā chhuTe hue gulshan meñ
guzroge to dekhoge ik shāḳh jalī hogī
bas ek tamannā ho jis ke dil-e-vīrāñ meñ
socho to zarā kitne nāzoñ kī palī hogī
nikle tirī mahfil se to saath na thā koī
shāyad mirī rusvā.ī kuchh duur chalī hogī
kal raat jo maiñ guzrā ik nuur kā taḌkā thā
'masrūr' batāo to vo kis kī galī hogī
ek muntazir-e-wada ki shama jali hogi
suraj ke nikalne se kya raat Dhali hogi
batlaen Thikana kya chhuTe hue gulshan mein
guzroge to dekhoge ek shaKH jali hogi
bas ek tamanna ho jis ke dil-e-viran mein
socho to zara kitne nazon ki pali hogi
nikle teri mahfil se to sath na tha koi
shayad meri ruswai kuchh dur chali hogi
kal raat jo main guzra ek nur ka taDka tha
'masrur' batao to wo kis ki gali hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.