Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek falak aur hi sar par to bana sakte hain

Rafiq Raaz

ek falak aur hi sar par to bana sakte hain

Rafiq Raaz

MORE BYRafiq Raaz

    ik falak aur sar par to banā sakte haiñ

    kurra-e-arz ko behtar to banā sakte haiñ

    ruuh meñ jis ne ye dahshat machā rakkhī hai

    us tasvīr gumāñ bhar to banā sakte haiñ

    ashk se ḳhaak huī tar yahī bas kaafī hai

    ek be-jān paikar to banā sakte haiñ

    ham agar ahl nahīñ peḌ ke phal khāne ke

    shāḳh-e-sarsabz ko ḳhanjar to banā sakte haiñ

    sach hai ham girya-kunāñ kuchh bhī nahīñ kar sakte

    regzāroñ ko samundar to banā sakte haiñ

    ātish o nuur se bijlī ke raheñ kyuuñ mahrūm

    ham sar-e-dasht nayā ghar to banā sakte haiñ

    garche parvāz quvvat nahīñ ḳhvāhish hai bahut

    ham ḳhayālāt ko shahpar to banā sakte haiñ

    lāla-gūñ manzar-e-shādāb sarāboñ meñ bhī

    qulzum-e-ḳhūñ ho mayassar to banā sakte haiñ

    ek falak aur hi sar par to bana sakte hain

    kurra-e-arz ko behtar to bana sakte hain

    ruh mein jis ne ye dahshat si macha rakkhi hai

    us ki taswir guman bhar to bana sakte hain

    ashk se KHak hui tar yahi bas kafi hai

    ek be-jaan sa paikar to bana sakte hain

    hum agar ahl nahin peD ke phal khane ke

    shaKH-e-sarsabz ko KHanjar to bana sakte hain

    sach hai hum girya-kunan kuchh bhi nahin kar sakte

    regzaron ko samundar to bana sakte hain

    aatish o nur se bijli ke rahen kyun mahrum

    hum sar-e-dasht naya ghar to bana sakte hain

    garche parwaz ki quwwat nahin KHwahish hai bahut

    hum KHayalat ko shahpar to bana sakte hain

    lala-gun manzar-e-shadab sarabon mein bhi

    qulzum-e-KHun ho mayassar to bana sakte hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ek falak aur hi sar par to bana sakte hain Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now