Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek apne silsile mein to ahl-e-yaqin hun main

Rais Farogh

ek apne silsile mein to ahl-e-yaqin hun main

Rais Farogh

MORE BYRais Farogh

    ik apne silsile meñ to ahl-e-yaqīñ huuñ maiñ

    chhe feet tak huuñ is ke alāva nahīñ huuñ maiñ

    rū-e-zamīñ pe chaar arab mere aks haiñ

    in meñ se maiñ bhī ek huuñ chāhe kahīñ huuñ maiñ

    vaise to maiñ globe ko paḌhtā huuñ raat din

    sach ye hai ik flat hai jis makīñ huuñ maiñ

    Takrā ke bach gayā huuñ basoñ se ka.ī dafa

    ab ke jo hādisa ho to samjho nahīñ huuñ maiñ

    jaane vo koī jabr hai iḳhtiyār hai

    daftar meñ thoḌī der jo kursī-nashīñ huuñ maiñ

    merī ragoñ ke niil se ma.alūm kījiye

    apnī tarah ek zahr-āfrīñ huuñ maiñ

    maanā mirī nashist bhī aksar diloñ meñ hai

    angina tarah magar dil-nashīñ huuñ maiñ

    merā bhī ek baap thā achchhā ek baap

    vo jis jagah pahuñch ke marā thā vahīñ huuñ maiñ

    ek apne silsile mein to ahl-e-yaqin hun main

    chhe feet tak hun is ke alawa nahin hun main

    ru-e-zamin pe chaar arab mere aks hain

    in mein se main bhi ek hun chahe kahin hun main

    waise to main globe ko paDhta hun raat din

    sach ye hai ek flat hai jis ka makin hun main

    Takra ke bach gaya hun bason se kai dafa

    ab ke jo hadisa ho to samjho nahin hun main

    jaane wo koi jabr hai ya iKHtiyar hai

    daftar mein thoDi der jo kursi-nashin hun main

    meri ragon ke nil se malum kijiye

    apni tarah ka ek hi zahr-afrin hun main

    mana meri nashist bhi aksar dilon mein hai

    angina ki tarah magar dil-nashin hun main

    mera bhi ek bap tha achchha sa ek bap

    wo jis jagah pahunch ke mara tha wahin hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now