ek aisa waqt bhi sahra mein aane wala hai
ik aisā vaqt bhī sahrā meñ aane vaalā hai
ki rāsta yahāñ dariyā banāne vaalā hai
vo tīrgī hai ki chhaTtī nahīñ kisī sūrat
charāġh ab ke lahū se jalāne vaalā hai
tumhāre haath se tarshā huā vajūd huuñ maiñ
tumhī batāo ye rishta bhulāne vaalā hai
abhī ḳhayāl tire lams tak nahīñ pahuñchā
abhī kuchh aur ye manzar banāne vaalā hai
bujhe bujhe se ḳhad-o-ḳhāl par na jā 'shahbāz'
yahī ufuq hai jo sūraj ugāne vaalā hai
ek aisa waqt bhi sahra mein aane wala hai
ki rasta yahan dariya banane wala hai
wo tirgi hai ki chhaTti nahin kisi surat
charagh ab ke lahu se jalane wala hai
tumhaare hath se tarsha hua wajud hun main
tumhi batao ye rishta bhulane wala hai
abhi KHayal tere lams tak nahin pahuncha
abhi kuchh aur ye manzar banane wala hai
bujhe bujhe se KHad-o-KHal par na ja 'shahbaz'
yahi ufuq hai jo suraj ugane wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.