hujum shoala mein tha halqa-e-sharar mein tha
hujūm sho.ala meñ thā halqa-e-sharar meñ thā
kab apnā ḳhvāb meñ koī sāya-e-shajar maiñ thā
maiñ aaj phir tujhe kyā dekh pā.ūñgā duniyā
vo shaḳhs der talak aaj phir nazar meñ thā
siyah fazāoñ meñ ūñchī uḌaan se pahle
kiran kiran kā ujālā sā baal o par meñ thā
ḳhunuk fazāoñ meñ us dasht-e-ġham ke aane tak
hamāre saath koī aur bhī safar meñ thā
sharar sharar the jo lamhe hasīn lagte the
jo lutf thā bhī to kuchh qurb-e-muḳhtasar meñ thā
bikhar ke TuuT ga.e ham bikhartī duniyā meñ
ḳhud-āfrīnī kā saudā hamāre sar meñ thā
hujum shoala mein tha halqa-e-sharar mein tha
kab apna KHwab mein koi saya-e-shajar main tha
main aaj phir tujhe kya dekh paunga duniya
wo shaKHs der talak aaj phir nazar mein tha
siyah fazaon mein unchi uDan se pahle
kiran kiran ka ujala sa baal o par mein tha
KHunuk fazaon mein us dasht-e-gham ke aane tak
hamare sath koi aur bhi safar mein tha
sharar sharar the jo lamhe hasin lagte the
jo lutf tha bhi to kuchh qurb-e-muKHtasar mein tha
bikhar ke TuT gae hum bikharti duniya mein
KHud-afrini ka sauda hamare sar mein tha
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 66)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.