hujum-e-yas mein lene wo kab KHabar aaya
hujūm-e-yās meñ lene vo kab ḳhabar aayā
ajal na aa.ī to ġhash kis umiid par aayā
bichhe haiñ kū-e-sitamgar meñ jā-ba-jā ḳhanjar
rag-e-gulū kā lahū paañv meñ utar aayā
dikhā.ī marg ne kyā kyā bulandī o pastī
chale zamīñ ke tale āsmāñ nazar aayā
hamesha afv tirā hai gunāh kā haamī
hamesha rahm tujhe mere haal par aayā
butoñ meñ koī bhalā.ī bhī hai sivā.e sitam
burā ho terā dil-e-nā-sazā kidhar aayā
banā.ī baat bigaḌne ne roz-e-mahshar bhī
uThe haiñ ḳhaak se ham jab vo gor par aayā
kahāñ kī āh-o-bukā baat ban ga.ī 'shola'
zabāñ ke hilte hī fariyād meñ asar aayā
hujum-e-yas mein lene wo kab KHabar aaya
ajal na aai to ghash kis umid par aaya
bichhe hain ku-e-sitamgar mein ja-ba-ja KHanjar
rag-e-gulu ka lahu panw mein utar aaya
dikhai marg ne kya kya bulandi o pasti
chale zamin ke tale aasman nazar aaya
hamesha afw tera hai gunah ka hami
hamesha rahm tujhe mere haal par aaya
buton mein koi bhalai bhi hai siwae sitam
bura ho tera dil-e-na-saza kidhar aaya
banai baat bigaDne ne roz-e-mahshar bhi
uThe hain KHak se hum jab wo gor par aaya
kahan ki aah-o-buka baat ban gai 'shola'
zaban ke hilte hi fariyaad mein asar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.