hijr mein itna KHasara to nahin ho sakta
hijr meñ itnā ḳhasāra to nahīñ ho saktā
ek hī ishq dobāra to nahīñ ho saktā
chand logoñ kī mohabbat bhī ġhanīmat hai miyāñ
shahr kā shahr hamārā to nahīñ ho saktā
kab talak qaid rakhūñ aañkh meñ bīnā.ī ko
sirf ḳhvāboñ se guzārā to nahīñ ho saktā
raat ko jhel ke baiThā huuñ to din niklā hai
ab maiñ sūraj se sitāra to nahīñ ho saktā
dil kī bīnā.ī ko bhī saath milā le 'gauhar'
aañkh se saarā nazārā to nahīñ ho saktā
hijr mein itna KHasara to nahin ho sakta
ek hi ishq dobara to nahin ho sakta
chand logon ki mohabbat bhi ghanimat hai miyan
shahr ka shahr hamara to nahin ho sakta
kab talak qaid rakhun aankh mein binai ko
sirf KHwabon se guzara to nahin ho sakta
raat ko jhel ke baiTha hun to din nikla hai
ab main suraj se sitara to nahin ho sakta
dil ki binai ko bhi sath mila le 'gauhar'
aankh se sara nazara to nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.