hawa chalegi magar sitara nahin chalega
havā chalegī magar sitārā nahīñ chalegā
samundaroñ meñ tirā ishārā nahīñ chalegā
yahī raheñge ye dar ye galiyāñ yahī raheñgī
tumhī chaloge koī nazāra nahīñ chalegā
shab-e-safar hai hatheliyoñ par bhañvar ugeñge
tumhāre ham-rāh ab kinārā nahīñ chalegā
suno ki ab ham gulāb deñge gulāb leñge
mohabbatoñ meñ koī ḳhasāra nahīñ chalegā
bahār maqrūz hai gharoñ aur maqbaroñ kī
guloñ pe rastoñ kā hī ijāra nahīñ chalegā
hawa chalegi magar sitara nahin chalega
samundaron mein tera ishaara nahin chalega
yahi rahenge ye dar ye galiyan yahi rahengi
tumhi chaloge koi nazara nahin chalega
shab-e-safar hai hatheliyon par bhanwar ugenge
tumhaare ham-rah ab kinara nahin chalega
suno ki ab hum gulab denge gulab lenge
mohabbaton mein koi KHasara nahin chalega
bahaar maqruz hai gharon aur maqbaron ki
gulon pe raston ka hi ijara nahin chalega
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 234)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.