har koi milta hai ban kar diwar
har koī miltā hai ban kar dīvār
TuuT jā.egī magar har dīvār
maiñ bhī taqsīm na ho jā.ūñ kahīñ
uTh rahī hai mire andar dīvār
har balā sīdhī chalī aatī hai
koī hotī mire bāhar dīvār
chhoḌ kar jā.ūñ kahāñ bachchoñ ko
ab to hai mere liye ghar dīvār
dhuup se ham ko bachāne ke liye
roz phailātī rahe par dīvār
phir jazīre na mile aapas meñ
rāste meñ hai samundar dīvār
maiñ sunātā rahā dukhḌe 'ḳhāvar'
aur rotī rahī shab bhar dīvār
har koi milta hai ban kar diwar
TuT jaegi magar har diwar
main bhi taqsim na ho jaun kahin
uTh rahi hai mere andar diwar
har bala sidhi chali aati hai
koi hoti mere bahar diwar
chhoD kar jaun kahan bachchon ko
ab to hai mere liye ghar diwar
dhup se hum ko bachane ke liye
roz phailati rahe par diwar
phir jazire na mile aapas mein
raste mein hai samundar diwar
main sunata raha dukhDe 'KHawar'
aur roti rahi shab bhar diwar
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.